Main Shabd Sur Tum continues..
19-08-2008 19:08:32
कई हज़ार ज़ुल्म और कर सकते हो मुझपर
बर्दाश्त करने का अभी मुझमें और मादा है
बर्दाश्त करने का अभी मुझमें और मादा है
क्यूँ ख़त्म कर दूँ इश्क के अफ़साने को यंही पर
अभी तो इसका सुरूर मुझपर चढ़ा आधा है
अभी तो इसका सुरूर मुझपर चढ़ा आधा है
तंगी -ए -वक़्त पे रोते देखा है मैंने सभी को
और देखो तो मेरे पास वक़्त कितना ज्यादा है
और देखो तो मेरे पास वक़्त कितना ज्यादा है
लो ढल गयी है शाम भी ,अब कोई देखता नहीं है
अब क्यूँ नहीं हो पूछते मेरा क्या इरादा है
अब क्यूँ नहीं हो पूछते मेरा क्या इरादा है
हासिल न हुई उल्फत तो कोई बात नहीं है
हर ग़ज़ल और हर नज़्म "तनहा " की राधा है
हर ग़ज़ल और हर नज़्म "तनहा " की राधा है
Har ghazal har nazm tanha ki radha hai
Tanha Ajmeri
kuchh aur sataao mujhe Kai hazaar zulm aur kar sakte ho mujhpar
Bardaasht karna ka abhi mujhme aur maadaa hai
Bardaasht karna ka abhi mujhme aur maadaa hai
Kyun khatm kar duun ishq ke afsaane ko yanhi par
Abhi to iska suroor mujhpar chhadaa aadhaa hai
Abhi to iska suroor mujhpar chhadaa aadhaa hai
Tangi-e-waqt pe rote dekha hai maine sabhi ko
Aur dekho to mere paas waqt kitna zyada hai
Aur dekho to mere paas waqt kitna zyada hai
Lo dhal gayi hai shaam bhi,ab koi dekhta nahi hai
Ab kyuun nahi ho pochhate mera kya iraadaa hai
Ab kyuun nahi ho pochhate mera kya iraadaa hai
Haasil na hui ulfat to koi baat nahi hai
Har ghazal har nazm "Tanha" ki Radha hai
Har ghazal har nazm "Tanha" ki Radha hai
Har ghazal har nazm tanha ki radha hai
Tanha Ajmeri
nice....
ReplyDeletebeautifully written.
ReplyDeleteBeautiful
ReplyDelete