Wo kyuN soch leta hai baatein ye behki behki
वो क्यूं सोच लेता है बातें ये बहकी बहकी...
Na zalzala sailaab na bimari se usay khauf
Usay is zameeN pe hamesha rehne ka bharam hai
न ज़लज़ला, सैलाब न बीमारी से उसे खौफ
उसे इस जमीं पे हमेशा रहने का भरम है
shayari kya hai ? mujhse poochhte haiN log. mujhe dekh leejiye, dekh leejiye mere taur tareekoN ko. Philhal mujhe padh leeje. thoda andaza ho jayega aapko.ya phir apne ghar bula leejiye .ek shaam mere naam..shart hai ke aap lutfandoz ho jayeNge. kabhi sochta huN ke bewajah maujuda waqt meiN paida hue. Kisi badshaah ki baadshahat meiN rahe hote toh shayad hamara bhi kuchh naam hota. huzoor jaane deeje, shhayar se paalaa na hi padhey toh behtar hai.
No comments:
Post a Comment