Monday, 25 March 2024

Shayar ka paigham

 Wo kyuN soch leta hai baatein ye behki behki

वो क्यूं सोच लेता है बातें ये बहकी बहकी...

Na zalzala sailaab na bimari se usay khauf

Usay is zameeN pe hamesha rehne ka bharam hai 

न ज़लज़ला, सैलाब न बीमारी से उसे खौफ

उसे इस जमीं पे  हमेशा  रहने का भरम  है

Saturday, 23 March 2024

Aazmaa lo mujhe

 Ik baar ishara karke aazmaa kyuN nahi lete
Jisey chahte ho usay apne pass bula kyuN nahi lete

Kar karke intezar kahiN pathra hi na jayen
Aankhen
Kuchh der ke liye inko rula kyuN nahi lete 

Is zamane ne Jo tumko yuN kahiN ka na chhoda
Bhulakar is zamane ko tum saza kyuN nahi dete

Haasil na hua jisse tumko kuchh bhi kabhi bhi
Kambakht aisi zindagi ko tum dagaa kyuN nahi dete

Jeene ke liye saharoN ki Kami nahi hai Tanha
AK zakhm taaza phir se lagaa kyuN nahi lete

IK BAAR ISHARA KARKE AAZMAA KYUN NAHI LETE 

Welcome Swagat Istekbal

 Mujhse sabko shikayat hai bahot ki mere blog par kabhi regularly kuchh update hota nahi. Ek dost ne likha tha ki sab purana maal padha hai, koi taza tareen kalaam sunao. MaiN maafi ka talabgar huN magar ab se takreeban rozana aapko yahaN kuchh na kuchh naya zarur padhne ko milega. Aap aate rahiyega.